Monday, January 20, 2014

Monday morning...

Mez par rakha alarm der tak bajta raha.
Neend bhi khuli, par palkein thi ke juda hone ka naam hi nahi le rahi thi.
Ek doosre ko yoon thaame baithi thi, jaisi doobti saasein zindagi ko thaame rehti hai.
Shaayad intazaar mein thi kisike.
Shaayad un sapnon ke jo aakhein band hote hi sair par nikal jaate hai.
Ye palkein ghar hai sapnon ka.
Khul jaati to un sapnon ke beghar ho jaane ka darr tha.

Khwab mein aate raho...

Khwab mein aate raho, na karna koshish haqiqat mein aane ki; 
Bas apne dil se darta hoon, kahi zid na karle paane ki.

Bahut yaad aata hai...

Baithoon jab bhi aakhein moonde, apni tanhai ke paas
Biti zindagi ka woh ek naam bahut yaad aata hai...

Chal padta hoon kabhi tanha hi, yaadon ki nangi sadkon par
Thak ke dhoondo jab aasra, woh ek makaam bahut yaad aata hai...

Baith jata hoon kabhi lekar purane yaar - mere un sapnon ko
Bekhudi ke har jikr par, woh ek jaam bahut yaad aata hai...

Ye safar bhi khoob beeta, kuch khone kuch paane mein
Ho na saka par jo mukammal, woh ek kaam bahut yaad aata hai...

Baithoon jab bhi aakhein moonde, apni tanhai ke paas
Biti zindagi ka woh ek naam bahut yaad aata hai...



kaise sunli tumne...

Humne na kholi gar jabaan, kaise sunli tumne
Kisne phir kahi woh daastan, kaise sunli tumne...

Humne deewaron se tanha hi jo ki thi baatein
Rakh ke samjhauta darmiyaan, kaise sunli tumne...

Kahi gira humse woh pal, jo palkon se chun liya tumne
Uski aahat thi bejubaan, kaise sunli tumne...

Barson se dil mein dabe dard ki woh khamosh siski
Hum na jab kar sake bayaan, kaise sunli tumne...

Humne na kholi gar jabaan, kaise sunli tumne
Kisne phir kahi woh daastan, kaise sunli tumne.


Kis dagar tu chal raha hai...

Kaunsa sapna in aakhon mein pal raha hai
Kaunsi hai dagar tu jis pe chal raha hai...

Rotee aakhen, sehme chehre, shahar mein maatam kyon hai
Har taraf maahol kyon yun jal raha hai...


Badalti duniya ne tujhko kis kadar badal diya
Farmaan Uska bhi tujhe ab khal raha hai...


Ek mahatma ne kaha tha 'Ahimsa hi satya hai'
Zehar kyon zakhmon mein phir tu mal raha hai...


Kaunsa sapna in aakhon mein pal raha hai
Kaunsi hai dagar tu jis pe chal raha hai.

Tuesday, January 14, 2014

sapne ka sapna...

Kal raat ek sapna aakhon ke kareeb aa baitha.
Maine poocha, kya tum mere ho?
Wo bola, nahin. Mein tumhara nahi par tum mere ho.
Tum se juda hai mera poora hona.
Kal raat mujhe do baaton ka ehsaas hua.
Pehli; har sapne ka poora hona mumkin nahi hota.
Aur dusri; sapnon ke bhi apne sapne hote hai, shaayad!

p. s.: 'juda' meaning linked.


Phir kisi suraj ki talaash mein chalte hai...

Phir kisi suraj ki talaash mein chalte hai
Phir kisi mausam ka mijaaz badalte hai
Aakhon mein chamakne lagi hai dhoop nayi
Chal aaj iski hararat haathon mein malte hai…

Ye pal na kal mein tha, na kal mein hoga phir
Ye aaj aaya hai sajke, bas teri khaatir
Chal isko dil ki baahein khol ke milte hai
Chal iske paas baith waqt badalte hai…

Behte paani ko sada kaun rok paaya hai?
Kabhi kisine kya hawa ko bhi chupaya hai?
Manzil pe jaana isliye zaroori hai
Ki naye raaste yahi se hi to khulte hai…

Phir naye suraj ki talaash mein chalte hai
Phir kisi mausam ka mijaaz badalte hai.